Tuesday, February 12, 2013

Ek ghar...

Tera ek ghar, idhar bhee hai
Sach hai, isme na deewaren hain, na chatt
kuch darwaze aur khidkiya zarur hain
Jahan se tu kahee bhee ja sakte hai
 
Isme na umeed hai, na uski koi kiran
Na ruswaye hai na uski perchayee hai
shikwon ko, idhar ka raasta nahee malum
Yahan irradon aur azmaishon ka basera hai
 
Pabandi nahee, waqt ka jashn hai
Musibaten hazaar hain, majboori koi nahee

Milkiyat, himmat harket aur marzi ki hai
Yahan nau sekheya, ya waiz koi nahee
 
Iss ghar ko, khud se dur na jaanna
Teri perchayee se zayada nazdeek hai
Shauq ho, chale aana
Yahan kuch azmaishen teri bhee hain

 
Tera ek ghar, idhar bhee hai

No comments:

Post a Comment