Tinko ka nahee nash-e-mann mera
Pahadhee gufaa hai ghar mera
sheron aur baazo ka aana jana hai yahan
shikarion ke nishane pe rehta hai yeh ghar mera
Yahan zindagi, zinda hai
Ishq adhure khwabon se hai
Lutf unkee firaq ka hai alag
Kashish tute khwabon se hai
Ehhesas uska sabse hai alag
Yahan ummedein, jawan hai
Nawazaa apne ishq se tujhe
bezaar he sahee, ishq hai mujhe tujse
tere har gham ka hafiz hun main
fariyaad nahee koi, yeh haq hai mera
yahan muhabbat bepanah hai
Yahan dar–e-khuda pe jhukne par sar milti hai jannat,
Main kafir hun, muflis hee sahee, azaad toh hun
Kahte hain maut anjam-e-zindagi hai
maut ke seene mein bhonk de maine apne khanjar
Yahan faqir koi nahee
harkat meri pehchaan, muhhabaat meri mehbooba,
anjana mera rasta, adhure mere khwab
gar bhule meri kabr pe aao
shama mere mazhar ke kahegi
ek zindagi, jee leya ise jee jaan se
nash-e-mann = home
muflis = broke, pennyless
firaq = quest
mazhar - grave
shama - lamp
Pahadhee gufaa hai ghar mera
sheron aur baazo ka aana jana hai yahan
shikarion ke nishane pe rehta hai yeh ghar mera
Yahan zindagi, zinda hai
Ishq adhure khwabon se hai
Lutf unkee firaq ka hai alag
Kashish tute khwabon se hai
Ehhesas uska sabse hai alag
Yahan ummedein, jawan hai
Nawazaa apne ishq se tujhe
bezaar he sahee, ishq hai mujhe tujse
tere har gham ka hafiz hun main
fariyaad nahee koi, yeh haq hai mera
yahan muhabbat bepanah hai
Yahan dar–e-khuda pe jhukne par sar milti hai jannat,
Main kafir hun, muflis hee sahee, azaad toh hun
Kahte hain maut anjam-e-zindagi hai
maut ke seene mein bhonk de maine apne khanjar
Yahan faqir koi nahee
harkat meri pehchaan, muhhabaat meri mehbooba,
anjana mera rasta, adhure mere khwab
gar bhule meri kabr pe aao
shama mere mazhar ke kahegi
ek zindagi, jee leya ise jee jaan se
nash-e-mann = home
muflis = broke, pennyless
firaq = quest
mazhar - grave
shama - lamp
No comments:
Post a Comment